This was the time of the project when things were going on smoothly.
The usual discussion on Friday evening.
Nimit: kal mere ghar aajaao subah 10 am.
Sid;Atlee;Andy: ok
later at 11Pm.
tring tring...tring tring
Atlee: huloo
Andy: kal kab jaana hai...
Atlee: 10 baje milte hai Andheri station.
Andy: thoda late kar re...1030
Atlee: done... Sid ko tu bol
phone disconnect.
tring tring...tring tring
Sid: ehho
Andy: kal 11 baje Nimit ke gahr
Sid: par woh to dus bola tha na
Andy: woh saala Atul ko kuch kaam hai.
Sid: saala serious hi nahi be koi tumlog mein se. dekh mujhko kaisa yaad tha dus baje milkena karke.
Andy: tu pahuch dus baje. hum aate hain
disconnect.
Nimit's place.
Time: 10 am. Nimit is ready and already doing some code on his machine. His was a small makeshift room all for himself, with a table and a bed. Nimit is getting restless..."where r these guys"
Time: 11 Pm: No sign
Time 12 : No sign.
Time 1245 pm.
Ding Dong! Ding Dong!
Atlee and Andy arrive.
Nimit: (frowning)itna jaldi aaye be tumlog.
Andy: saala yeh...1130 ko aaya. humesha late.
Atlee: Andy ki galti hai...bola paiir dukh raha hai...teen train chodda uske wajah se.
Nimit: disgusted!
Atlee: aur uske baad bola bus se jaate hain. Isliye late hua.
Andy: par Sid to aane wala tha na?
Nimit: uska phone aaya subah. Kuch Swaminarayan ka kaam hai. Dupahar ko aayega
Andy: saala #$%^. Kal bahut shaana bannn raha tha
Atlee: waise Nimit...woh book issual ka screen ho gaya kya?
Nimit: haan..ab maine hi kar diya...tum log to aane se rahe.
Its close to lunch time. Nimit ki mom ke haath ka khaana...lajawaab.
Aunty: chalo...pehle khaa lo...baadme kaam kar lena.
They always have an impression that we 4 guys are doing some brilliant work inside that small room.
After hving another lavish lunch we move to the small room.
10 mins past lunch.
Atlee: zzzz....zzzz....zzzz....zzzz
Andy: opens up the book. ASP for beginners.
Nimit: Abey Atul uthh be! Sone ke liye aaya kya.
After 15 mins , the door bell rings and Sid comes in...with a sheepish smile.
Andy: ab aa raha ahi tu!
Sid: aaya na mai...kitna mushkil se nikla malumm kya.
Nimit: chal chal...ab atul ke saath baithkar database table dekho for the other module.
-------------------------------------------------------------------------------------
Thoda kaam kar liya...then we decided to take a break!
Sid: chal yaar 15 min. ka break lete hai.
Sid: Nimit...mujhe bata...teri item kidhar hai?
Andy: ITEM! yeh kya hai ganda word. Girlfriend bol!
Sid: haan be , tu samjhaa na
Nimit: koi girlfriend nahi hai be
Atul: fir woh kon hai koi jisko tu mila tha koi picnic pe.
Nimit: haan woh...jaane do yaar.
Andy: nahi bol na...
Nimit: rehne de
Andy: arre nahi...tu bol na
Nimit: abey der ho gayi hai...
Andy: kya der?
Nimit: ab woh chali gayi yaar...Main usse mila tha ek picnic ke...apne 12th ke class ke. We used to talk to each other. Par jyaada nahi...uske dad ka cable network business tha...borivli chodd kar Andhri side kahin shift ho gaye.
Atul: zzzzzz
Sid: hmm...
Nimit: wasie bhi yaar woh muslim thi...to kuch hone nahi wala tha.
------------------------------------------------------------------------------------------
We played a few sad songs on WINAMP.
Ajab hai ishq yaaaaaraaaaaaa
pal do pal ki khushiyaaaaannnnnn....
------------------------------------------------------------------------------------------
end of project day work...we leave for home at 7 pm.
-----------------------------------------------------
Next week, we were at Andy's place in Lokhandwala ( the residence of TV actors and flopped Bollywood stars, in Andheri West). After doing some work on the code, we decided to take a walk and babe watch on the streets of Lokhandwala.
Atlee: Andy tere hi ghar pe kaam karna chiye. Kaam ka kaam...aur masti ki masti
Sid: haan be...sahi jagah hai yeh
Andy: tere Vasai ke saamne to jannat
Nimit: abey woh dekh Sheeba!!
Nimit was excitedly peeping into the car trying to catch a glimpse of the heroine of duds like Boyfriend and that song...Aaja meri gaadi mein baith jaa...of some baba sehgal film.
Andy: abey aise roz dikhte hai...kya dekh raha hai.
Nimit: sahi hai yaar...
Andy: mere building main Akki aata hai...(Andy starts bragging his filmy gyan). Har week nayi girlfriend ko laata hai...current Raveena hai.
We decided to sit in the nearest restaurant for a light dinner.
Sid opens up a topic of terror prone Vasai.
Sid: pata hai kya...apun ke area main sirf bhai log hai. Ek cable wale ko maardiya.
Atlee: maar diya...hialaa kaaiku
Sid: ek naya aadmi aaya area main. Sab jagah brochure baata...cable monthly rent 100/- only jab ki baaki log 200/- main dete hain
Atlee: to sahi hai na...fir kya hua.
Sid: buss...bhai log ko gussa aaya...aise kaise aadha rate pe de raha hai...to maar daala usko.
Nimit: haila!!
Andy and Atlee glanced at each other...and smiled mischeviously.
Atlee: Yaar Andy, tu us din kuch bata raha tha na...tere cable wale ke baare main.
Andy: haan be...naya aadmi aagaya cableman. Naam yaad nahi hai
Nimit who was sipping his pepsi is slightly attentive.
Atlee: nahi be...tu kuch bata raha tha na musulmaan hai woh.
Andy: haan be...bhool hi gaya...woh us bus stop pe mujhe mile they to baat kiya main...woh namaaz padh ke aa rahey they...aur mereko hello bola
Nimit: hello bola yeh humlog kokyu bol raha hai
Andy: aage sun na...to main poochaki aap naye aaye is area main...to he said haan...abhi kuch mahine pehle...pehle woh Borivli main business karte theyy...ab sab chodd ke idhar aaye
Nimit: Kya!! yaar unka naam kya hai?
Atlee: ABEY ANDY...kahin yeh wahi to nahi
Andy: kaun
Atlee: Abey woh NIMIT - ladki - muslim - cable...
Nimit: haan re...
Andy: arre...
Sid: haan be...sahi
Atlee: Nimit unka naam kya hai
Nimit: Mr. Ismail Shaikh
Andy: abey!!! yahi to naam hai unkaa...abhi yaad aaya....ditto wahi naam...
Sid: Nimit hailaa...yeh to poora filmy story ho gaya be...tera "sasur" idharich mil gaya.
Nimit: sahi yaar...Andy number nikaal na cable wale ka...please please
---------------------------------------------------------------------------
Number to Nimit ko mila nahi...par paanch minute baad Andy and Atlee started laughing...itni zor se ki Sheeba ne bhi dekh liya. Nimit slowly realized it was a prank played on his heart.
Nimit: saaala ##$%###$*******.... meri haay lagegi tum log ko dekh lena.
Us din se ajun tak Nimit ko Lokhanwala ke cable wale ke naam se chidaate hai hum!